Kyon parayi aag mein khud ko jalayen log..?
Kyon mere zakhmon par marham lagayen log..?
Khud hi main uktaa gaya hun zindagi se ab
Phir kis moonh se de.N mujhko duaayen log.?
Doobe hue hain dariya-e-tammana mein sab
Mujhko thaame.N ya khud ko bachayen log..?
Main kya ke aik aag mein jhulsaa hua gulaab
Kyon mujhko apne gharon mein sajayen log..?
Gulshan mein kaanton ka kadardaan hai kaun..?
Kaise mujhko apne seene se lagayen log.?
Sajaa karti hain mehfilen khushi ke nagmon se
Main shayar-e-dard mujhe kyon bulayen log?
Na sunaa kisi ko meri daastan ae gulbadan.
Kahin sab ye mere haq mein na ho jayen log?
"Monty" na tera tha koi , na tu kisi ka tha..
Phir kyon teri laash par aansu bahayen log?
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Dil aaj tumse milne ko itna bekaraar kyu hai
Dil me aata hai sab chod kar tumhare paas chala aaun
Rism aur riwaazon ki hume parwah nahi
Apne dard ko lekar bas tumhare paas chala aaun
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Kise khabar hai dil ki haalat kya hai
Kise parwah hai ki hum jiye ya mare
Yeh dard ko to hume hi sehna hai
Kaun hai mera jo yeh dard baat sake



























12cat6.jpg)





































